Mehak ba-dosh, kharamaan, anees-e-jaan kliye
saba chali hai kisi yaar-e-mehrbaan k liye.
Ye faiz hai yere waade ka ae mere rahbar
k darbadar hoon hawa ki tarah amaan k liye.
Taweel umr ki sab maangte dua kyon hain
rah-e-hayaat hai garche ik imtihaan k liye.
Jo ho sake to koi harf-e-motabir bhejo
azal se meri adhoori si daastaan k liye.
Sitaara-e-sar-e-mizgaan sambhaal kar rakhna
bane ga kal yehi tamheed daastaan k liye.
Sisakti daikh rahi hoon main saans harfon ki
rahi na koi kiran qariya-e-bayaan k liye.
Utar rahi hai dareecha-e-khaab main phir shaam
k aarzoo na rahi ab tou saa’ibaan k liye.
Tumhari yaad k gehre samandaron ki qasam
ye khamshi bhi aziyat hai jism-o-jaan k liye.
Paye dinon ki rafaqat hai aur ham tanha
tamaam sood the shaid isi ziyaan k liye.
Sitaara-e-sar-e-mizgaan sambhaal kar rakhna
bane ga kal yehi tamheed daastaan k liye.
————–
great one!
———————–
Utar rahi hai dareecha-e-khaab main phir shaam
——————————–
ooper walaa miSra kuch maSnoee sa laga rahaa hai.
————————————-
Tumhari yaad k gehre samandaron ki qasam
ye khamshi bhi aziyat hai jism-o-jaan k liye.
————————————-
“ye’ isme ishaara hai. aap kiss khamashi ki Taraf ishaara kar rahi heN?
——————————————–
Overall impression is good enough.